Thursday, February 14, 2008

Ghazal

samandar ko apna razdan samjha tha main
muqaddar ko apne meharban samajha tha main,

chaand haatho mein hoga sitare qadmon mein
bas yahi mohabbat ka anjaam samjha tha main,

mohabbat mein fatah kar jaunga is jahan ko bhi
ah! zamane ko kitna nadaan samjha tha main,

wo kehte hain, na ab koi rishta rakh mujhse
jinki aashnai ko na-tamaam samajha tha main,

kaise bhool jaun us nigah-e-naaz ko
jiski be-adabi ko bhi salaam samjha tha main,

usi ne kiya hai bhari bazm mein ruswa mujhe
jisko apni haqikat ka nigahban samjha tha main,

tu na raund meri ulfat ke phoolon ko Rashid
tujhko to is gulistan ka baghban samjha tha main..

4 comments:

Straight Bend said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

hey can you tell me

how to add this below comments

Submit To Propeller • Add to del.icio.us • Digg This! • Share on Facebook

and nice poems

Anonymous said...

Woow very nice... Thanx for sharing..
http://stylishsms.com

Unknown said...

na thi jinko hamari dosti ki kadar,ittefak se unhi se dosti nibha rahe the hum ,ussi diye ne jalaya hamare haathon ko ..jise hawa se bacha rahe the hum.........09540391036,,,,,,,,,,sandip.bansal1@yahoo.com