Thursday, November 15, 2007

~~~~Urdu Poetry~~~~~~~~~

Tu nay daikha hai kabhi aik nazar shaam kay baad
kitnay chup chaap say lagtay hain shajar shaam kay baad

itnay chup chaap keh rastay bhi rahain gai la-ilm
choor jain gai kisi rooz nagar shaam kay baad

shaam say pehlay wo mast apni uranoon main raha
jis kay hathoon main thay tootay howay par shaam kay baad

tu hay sooraj tujhay maloom kahan raat ka dukh
tu kisi rooz mairay ghar main utar shaam kay baad

laut aiy na kisi rooz wo awara mizaj
khol rakhay hain isi aas main dar shaam kay baad

Dard
Taira dard tha teri yad thie
mian jahan raha mian jahan gaya

mera din toh yunhi guzar gaya
junhi shab hui mian bikhar gaya

is aber ka meray yaar say
bara milta julta mizag tha

khabhie toot k baras parra
kabhie rukha sa guzar gaya.

Faryad
APNI BARBADI PEY KUEN NALA O FARYAD KARAIN?
KOI TADBEER KARAIN, MARHAM E UFTAAD KARAIN

BHOOL BAITHEY HAIN KHUDI AUR AKHWAT KA SABAQ
AAO IQBAL KEY AFKAR KO PHIIR YAAD KARAIN.

HAM NAA EHSAAN FARANGI KAA UTHAIN YARO!
KHAK E MASHRIQ SE HE APNA JAHAN EJAAD KARAIN

FIKR E FARDAA SEY BADAL DALAIN MUQADDAR APNA
BAITH KAR HAATH DHAREY WAQT NA BARBAD KARAIN

KHON SEY SAIRAB KARAIN PIYASEY WATAN KI MITTI
SOCH BANJAR SEE ZAMEEN HAI ISEY ABAAD KARAIN

PA BA ZANJEER NAHIN SOCH MAGAR HAI MEHKOOM
FIKR E IQBAL SEY ZEHNON KO BHI AZAAD KARAIN


No comments: