Saturday, January 27, 2007

Intizaar (Waiting ),Khwab (Dreams), Sher

"Intizaar"
Hum baithe rahe tumhare khut ka intizaar kar
Woh khut nahi aaya chahe kitne hi intizaar par
Na jane kya khata hui hum se
Ki ek aur din guzaara na hoga intizaar kar


Khwab (Dreams)

khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar..
is zameen se uth, aasma chhoone ki ek koshish to kar..
ho jayenge poore sab khwaab tere, tu khud ko samajh,
duniya ko samjhaane kee koshish to kar...
khuda bhee tere saath hai, bas ek baar uskee baarghaah me apne haath buland to kar
ladd jaa mushkilo se, kar le himmat, utthaa ke sir, tu apane khwaabo ki taabeer to kar..
khwaab ko khwaab samajh ke khwaabo ki tauheen na kar..


Sindoor
Cham cham karti woh chali aayi
Cham cham karti woh chali gayi
Hum sindoor lekar khade rahe
Woh Rakhi bandhkhar chali gayi

No comments: