Saturday, August 30, 2008
Wednesday, August 6, 2008
August Horoscope 2008
Posted by @ B H i at 7:58 AM 0 comments
Labels: August Horoscope 2008
Thursday, February 14, 2008
Ghazal
samandar ko apna razdan samjha tha main
muqaddar ko apne meharban samajha tha main,
chaand haatho mein hoga sitare qadmon mein
bas yahi mohabbat ka anjaam samjha tha main,
mohabbat mein fatah kar jaunga is jahan ko bhi
ah! zamane ko kitna nadaan samjha tha main,
wo kehte hain, na ab koi rishta rakh mujhse
jinki aashnai ko na-tamaam samajha tha main,
kaise bhool jaun us nigah-e-naaz ko
jiski be-adabi ko bhi salaam samjha tha main,
usi ne kiya hai bhari bazm mein ruswa mujhe
jisko apni haqikat ka nigahban samjha tha main,
tu na raund meri ulfat ke phoolon ko Rashid
tujhko to is gulistan ka baghban samjha tha main..
Posted by @ B H i at 12:09 AM 4 comments
Labels: Ghazal
मोहब्बत -नफ़रत
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*हमें तुमसे मोहब्बत करनी है , तुझे मुझसे नफ़रत ही सही !
गर, ये प्यार है इक-तरफ़ा , तो ये प्यार इक तरफ़ा ही सही !!
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*मेरे मेहबूब ने पढें जब ये शेर, तो ये सवाल था उसका !
तेरे शेरों में क्युं है इतना दर्द क्या है राज़ इसका !!
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*कोई ये पुछे उनसे के मौत का पैमाना क्या है !
जो हर बात पर अक्सर कह देते है, "अरे मर गये" !
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*उठाकर मुसीबतें ज़िन्दगी की जी रहा आदमी क्युं है !
गर, बोझ है ज़िन्दगी तो ज़िन्दगी से मोहब्बत क्युं है !!
-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
अब तेरे शरमानें की हकीकत "फ़राज़" जानीं मैनें !
फ़रेब देना हो किसी को तो, बस्स मुस्कुराना चाहिये !
Posted by @ B H i at 12:08 AM 1 comments
Labels: Love Sher
Dil ke Bazaar
Pyar ho jae to Surat nahi Dekhi Jati,
Ek Sathi pe Luta do Sab Kuch,
Kyunki Pasand ho Cheez to Kismat bhi Dekhi nahi Jati....
Wada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako,
Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako,
Dost To Duniya Me Bahot Hote Hai,
Par Ek Khas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako......
Posted by @ B H i at 12:07 AM 0 comments
Labels: Love Sher, Valentine's Day
Pyar Chupta Nahi Chupane Se.........
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se
Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se
Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.
Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.
Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane se .....
Posted by @ B H i at 12:06 AM 1 comments
Labels: Love Sher
Wednesday, February 13, 2008
Pehle Din Ki shuruat
Muskura do jara khuda ke vaste
sama-e-mahefil mai rosni kam hai
tum hamare nahi too kya gum hai
hum tumhare to hai ye kya kam hai?
————————————–
Unko humse mohabbat nahi ye humne tab jaana
jab unki mohabbat ne kar diya humko deewana.
————————————–
Jis Shaam Mere Lab Per Tera Naam Na Aaye,
Khuda Kare Aisi Shaam Na Aaye….
Aai Jaane Wafa, Ye Kabhi Mumkin Hi Nahin,
Afsaana Likhnu Aur Tera Naam Ma Aaye.
————————————–
Kadam Kadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Wakt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Kasam Kaii Thi Is Sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya.
————————————–
Falak ke teer ka kya nishaana tha
idhar mera ghar, udhar uska aashiaana tha
pohunch rahee thi kinaare kashthi-e-umeed
us hi waqt is toofaan ko bhi yahaan aana tha?
————————————–
Posted by @ B H i at 11:54 PM 0 comments
Labels: Good Morning
Baat adhoori reh Gayi
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
————————————–
Din jo guzar gaye hai yunhi
Raat bhi dhal gayi hai yunhi
Koshish tho bahut ki dil ne
Zuban pe baat rah gaye yun
————————————–
chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega
————————————–
Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
————————————–
e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.
————————————–
Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya
————————————–
ye zamiiN roii aasmaan ke saath
jab Ramaayan jalii Quraan ke saath
be_zubaaN shakhs likh to saktaa hai
haath bhi kaaT do zabaan ke saath
————————————–
Tumne apne zulfoN ko is tarah bikhera hai
ek taraf ujaala hai, ek taraf andhera hai
————————————–
Tum rooh mein shamil ho, Ragon mein rawa ho
Magar mere hathon ki lakeeron mein kahan ho ?
————————————–
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada Mushkil hota hai tab Jawab denA
Jab koi KhamosH rehkar Sawaal kar leta hai
————————————-
Posted by @ B H i at 11:53 PM 0 comments
Labels: Love Poem, Zindagi (Life)